Hum Paanch in '06 March
Kuch dino ki toh baat hai yaaron
na hum tumhe jaante the, na tum hume
na jaane kis ghadi mein hua yeh milaap
mil baithe hum yaar bade pyaar se
na hum tumhe jaante the, na tum hume
na jaane kis ghadi mein hua yeh milaap
mil baithe hum yaar bade pyaar se
Rehta tha meri saheli ke saath
humne dekhe hai uske nakshe kadam
hai bada pyaara sa dost
uski hasi bhoola dete hai gum
Mila karte the hum kahin
Unhone hume seekhaaya chalaana
shukraguzaar hai hum unke
daat deta hai unki awaaz ko rozaana
Khoob nibhaaya inhone dostaana
Inse toh thi humari ek-do mulaaqat
inka dard hai dil mein qaid
logon ko hasaaye, hai yeh itefaaq
Badi sundar gudiya si hai yeh raani
rahi hai inki duniya choti, suhaani
nahi dekha hai inhone zamaana
fir bhi lagti hai yeh hume sabse pyaari
Khuda kare sabko mile aise dost
dil bhar aaye, itna karte hai pyaar
hum haathon ki ongli hai paanch
dua hai rab se, kabhi naa aaye daraar
7 Comments:
oye kudiye....tuoddi gal hi nirali hai.
Vah Vah!
What a!
Pah!
Noorya Gulzar Sattaana Ivam pirandarpa
PAH!
It is a!
mind blowing!!!!
@Adel: I'm flattered :)
@purvins: Thanx :)
Wow nice poem...
I am sure your friends must be great... and as lucky as you are...:)
@Kaushal: :) I guess "Friends are siblings, GOD forgot to give us"
@Kavin: Thanx :)
I think, If friends were siblings, they wouldn't have been very close...;). So it's better that God forgot...:)
@Kaushal: True :)
@Kanan: Arre sahi hai, after so many days a comment here ;)
May we be together forever, Amen!
Post a Comment
<< Home