Kabhi kabhi lagta hai
Kabhi kabhi lagta hai, mein sochu hi naa
Kabhi kabhi lagta hai, mein sunu hi naa
Kabhi kabhi lagta hai, mein bolu hi naa
Kabhi kabhi lagta hai, koi toh mujhe bhi samjhe
Kabhi kabhi lagta hai, koi toh meri bhi sune
Kabhi kabhi lagta hai, koi toh mujhe bhi bolne de
Kabhi kabhi lagta hai, kyun mujhe woh galat samjhe
Kabhi kabhi lagta hai, kyun meri baat woh na sune
Kabhi kabhi lagta hai, kyun mere baare mein woh aisa bole
Kabhi kabhi lagta hai, mazzaak mazzaak mein
Zindagi ne mera ek bhaddaa mazzak bana ke rakh diya hai...

5 Comments:
Sunne waale to paas hi the, aapki zubaan hamesha thi band
Shaayad sunnewaale hi the naa pasand
Aapko samajhne ka hausla tha bulund
sirf ek maukhe ki zaroorat thi hamein hurdum
Humaare pyaar ko bhi aapne mazzaak hi samjha
Sunna to door, aapne to humein bolne bhi na diya
Pukaar do ek baar, mita do yeh mazzaak, hamesha ke liye
Aa jaaoonga daud ke, dil dhadakta hai sirf tumhaare liye.
@anonymous: Oye, Romeo-ki-aulaad... sher-o-shayari ka itna hi shauk hai toh kissi aur ko jaake yeh anonymous arz aur izhaar karna. Yahan aisi bakwaas ki koi jagah nahi hai.
Sabhi ko kabhi na kabhi aisa lagta hai, nothing wrong with anyone, most common paranoia/insecurity among humans. Just need to forget these bad days (hope/wish they come up rarely) and look forward to good ones.
Take all criticisms (no matter how it was intended) constructively/positively towards self improvement. As Big Willie suggests (in Don't Say nothin'), feed it to your ego and use it for fuel/motivation.
And remember friends are always there to talk to & to share your fears.
@kanan: tu kitna likhti hai. apne bolne ka record ko bhi tod diya
@kanan: btw, I can speak more than I can write... usmein koi shakh nahi hai
Post a Comment
<< Home