Tuesday, August 07, 2007

Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum

Ye na socha tha kabhi itne yaad aaoge tum

Rooth ke humse kahin

Main to na chala tha do kadam bhi tum bin
Phir bhi mera bachpan yehi samjha har din
Chhod ke mujhe bhala ab kahan jaoge tum
Chhod ke mujhe bhala ab kahan jaoge tum
Ye na socha tha kabhi itne yaad aaoge tum
Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum
Rooth ke humse kahin

Baaton kabhi haathon se bhi maara hai tumhein
Sada yehi kehke hi pukaara hai tumhein
Kya kar loge mera jo bigad jaoge tum
Kya kar loge mera jo bigad jaoge tum
Ye na socha tha kabhi itne yaad aaoge tum
Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum
Rooth ke humse kahin

Dekho mere aansoo yehi karte hain pukaar
Aao chale aao mere bhai mere yaar
Pochne aansoo mere kya nahin aaoge tum
Pochne aansoo mere kya nahin aaoge tum
Ye na socha tha kabhi itne yaad aaoge tum
Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum
Rooth ke humse kahin

- Jatin (Jo Jeeta Wohi Sikandar)